Friday, January 29, 2010

Charity and Job

Charity and Job

Yeh story fraud shah nay mehr sahib ko sunai jo keh un kay mutabaq such hai.
Aik din chanda aakatha kernay wallay du aadmi aiay. Unhoon nay chanda manga tu ghar wallay nay kaha main tu kaam nahi karta. Unhoon nay humdardi ka azhaar ker kay poocha kaam chahiyay?
Ghar walla bhi kaffee fraghat say tang aiya hua tha foran kaha zaroor chalo rooti paani tu chalta banay. Charity wallun nay kaha kal subah tiyar rehna hum aap ko utha lain gay.
Agalay din ghar wallay sahib naha dooh aur achay kapray pehan ker charity walun kay saath challay ghaiy.
Charity wallun nay kaha keh jab kissi ka door knock kerain gay tu un ko dard bhari awaz main story sunana keh meri biwi ku cancer hu ghia hai. Bachaay hain kaam nahin hai. Doctors kay mutaabaq agar alaaj na hua tu spread hu jaiy gha.
Khair din kay khatmay per un ko over ten thousand chanda hua. Jis main charity walun nay 1500 diyay aur kaffee sara fruit sabzi ghosht khareed ker diya. Jab mujay ghar chora tu kehnay lagay kal phir tiyar rehna. Jab main ghar dakhal hua tu biwi fruit aur sabzi wagaira deekh ker buhat hairan hui keh yeh paisay kahan say aiay. Mian nay biwi ku sari khani sunai. Biwi kaffee khud dar thi aur kaha aaj tu yeh ker liya ainda aisa nahi kerna.




Personal


No comments:

Post a Comment